New Hindi Shayari
Broken heart hindi shayri लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Broken heart hindi shayri लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

मंगलवार, 17 नवंबर 2020

Rahat Indori Shayari best Collection

 RAHAT INDORI BEST SHAYARIES

Rahat Indori shayri

INTRODUCTION 

Rahat  Indori ka Janam Indaur me 1 January 1950 ko Hua tha Rahat Indori India ka Famous shayar the unhe Shayari ke Zamane ka Ubharta (Rising) Star mana jata Tha .

Rahat Indori  ne apna career indra kumaar college indaur mein urdu saahity ke techar ke taur par shuroo kiya. Students ke beech vo jaldee hee lokapriy ho gaye. phir Rahat mushaayaron mein busy hote chale gaye  parivaar kee aarthik sthiti bahut achchhee nahin thee aur raahat jee ko shuruaati dinon mein kafi mushkilon ka saamana karana pada tha.


haal ke barason mein poore bharat aur videshon se Rahat Indori ko mushaayaron ke nimantran milate the. Rahat Indori me  gajab ke Shayari shamata aur maulikata thee. shabdon ke bazigari  bhi vo khoob jaanate the. isee se vo hit hote chale gaye. logon ke bich dilon mein jagah banane lage. unakee kavita khushabo khaasi hit rahi jisane unhen ek tarah se urdoo saahity ke duniya mein ek prasiddh shayar bana diya.

jaane-maane urdu shayar rahat indori ka 10 August 2020 ko corona positive hone ke kaaran indaur mein hospital mein bharti karaaya gaya tha. 24 ghante ke andar heart attack ke kaaran unaka nidhan ho gaya.


 
Rahat indori

chaliye Kch Un ke best Hindi Shayari Aap ko Dekhate Hai 

Sabhi Ka Khoon Hai Shamil 

yaha ki mitti me 

kisi ke baap Ka Hindustan

Thodi hai 


Best Attitude Shayari Of Rahat Indori

Rahat Indori Shayari


ROZ TAARON KI NUMAAISH ME 
KHALAL PADTA HAI 
CHAND PAGAL HAI ANDHERE ME 
NIKAL PADTA HAI 

BEAUTIFUL ATTITUDE HINDI SHAYARI
BY RAHAT INDORI

Rahat indori Shayari


MAINE MULKON KI TRAH 
LOGON KA DIL JEETA HAI 
YE HUKUMAT KISI TALWAAR KI 
MOHTAAJ NAHI ...
LOG HONTO PE SAJAYE FIRTE HAI 
MUJHE 
MERI SHOHRAT KISI AKHBAAR KI 
MOHTAAJ NAHI 

HINDI SHAYRI OF RAHAT INDORI 
Rahat indori Shayari


 
JO MANSABO KE PUJARI 
PEHAN KE AATE HAIN.
KULAH TAUK SE PEHAN 
KE AATE HAIN
SHAHER TERE TRAH KEEMTI
POSHAK
MERE GALI ME BHIKARI PEHAN
KE AATE HAIN 
YE AFIQUE THE SHAHER KE 
TAJ KI ZEENAT
JO UNGLIYO ME  MADARI PEHAN
KE AATE HAIN

IBADATON KI ZIMMEDARI BHI 
UN KI TRAF HAI 
JO MASJIDON ME SAFARI 
PEHAN KE AATE HAIN 

HAMARE JISM KE DAAG PE 
TABSIRA KARNE 
KAMIZ LOG HAMARI PEHAN 
KE AATE HAIN 


RAHAT INDORI KI SHAYARI ON MOTIVATION HINDI SHAYARI

RAHAT INDORI SHAYARI


 JHOTI BULANDIYON KA DHUWAN
PAAR KAR KE AA
KAD NAPNA HAI MERA TO 
CHAT SE UTAR KE AA
SONE KA RATH FAQEER KE 
DAR TAK NA AAYEGA
KUCH MANGNA HAI HUMSE 
TO PAIDAL UTAR KE AA


RAHAT INDORI DEEP HINDI SHAYARI 

Rahat indori Shayari

EK NAYA MAUSAM NAYA 
MANZAR KHULA
KOI DARWAZA MERE 
UNDAR KHULA 
EK GAZAL KAMRE KI 
CHAT PE MUNTAZIR
EK KALAM RAKHA HAI 
KAGAZ PE KHULA
CHALTE RAHNE KA 
IRADA SHART HAI 
JAB BHI DEEWARIN UTHI 
HAI CHAT KHULA 
SATH RAHTA HAI YAHI 
AHSAASE JURM
KIS KE ZIMME CHOR AAYE 
HAI GHAR KHULA
MAIN APNE AAP ME  HI 
BAND  THA
MUDDATON KE BAAD YE 
MUJH PE KHULA 

बुधवार, 26 फ़रवरी 2020

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

BROKEN HEART HINDI SHAYRI FOR
SAD PEOPLE 

hello dosto aaj hm leke aaye hai aap sab ke liye unique and beautiful collection of Broken heart hindi shayri jab koi aap ka special one aap ko ignore kre to aap ko bahut hurt hota hai or aap ko khus ko khali feel karte hai . Or aap ko apni feeling express karne ke liye broken heart  shayri ki zaroorat hoti hai jisse kam alfazo me aap 
Apne dil ki feeling ko apne  husband/wife girlfriend/boyfriend , ya mangetar ke samne apni ba8at rakh sakte hai jisse wo padh ke aap ke bich ki miss understanding ko khatam kar skte hai. 

Aise hi Unique broken heart's hindi shayri ka Collection aap ke liye hum leke aaye hai yaha pe shear krne apne special one ke sath dosto ke sath 


BROKEN HEART HINDI SHAYRI 

Broken heart hindi shayri

Jab jab mujhe laga❞
Main tere liye "khaas" hun...

Teri be rukhi ne ye samjha diya❠
Main jhoti "aas " me hun...!!!

Broken heart hindi shayri

BROKEN HEART REALITY SHAYRI 

Jis se bhi tum 
Hadd se zyada ☺
Umeed laga loge na 
Wahi ek din tumhara 
Dil tod dega 💔

Broken heart hindi shayri

BROKEN HEART SHAYRI 


Kabhi kisi ko 
Is had tak ingore 
Mat karna ke waqt 
Use Tumhare bina jeena 
Shika de ..💔


Broken heart hindi shayri

REALITY SHAYRI FOR HIM 


sab badal gye 
Yaar bhi 😌
Pyar bhi 💔

Romantic shayri


ROMANTIC SHAYRI FOR HIM 

Ek naam 
Ek zikar 
Ek tum aur 
Ek tumhari fikar 
Bas yahi hai choti
Si zindagi meri 😘

Broken heart hindi shayri

BROKEN HEART HINDI SHAYRI 


Mujhe bhi pata hai ke 
Tum meri nahi ho 
Is baat ka baar baar Ahesaas 
Mat dilaya karo 💔


Broken heart hindi shayri

BROKEN HEART SHAYRI
"BHOOL JAO UNHE "

Bhul jao unhe 
Jinhe tum maaf nahi kar sakte ,

Maf kardo unhe jinhe tum
Bhula nahi sakte .

Broken heart

BROKEN HEART SHAYRI
AUKAAT CHALTI HAI 

Aukaat tab pata chalti hai 
Jab usse wahan se 
Dhoka milta hai 
Jahan usse wafa ki sabse 
Zyada Umewd hoti hai 💔

Real love shayri

BROKEN HEART BUT TRUE SHAYRI


Nibhana jis ko kahte hai wo
Kuch hi logon ko aata hai 
Bahut aasan hai ye kahna ki
Mujhe Muhabbat hai tumse 
Broken heart hindi shayri


LOVE BROKEN HEART SHAYRI



Mohabbat 
Ab smjhdaar ho gayi hai 
Haisiyat dekh kar 
Aage badhti hai 


Broken but reality shayri



BROKEN HEART SHAYRI 


Udaas 
Hum roz udaas hote hai 
Raat guzar jaati hai 
Ek din Raat udaas hogi or hum 
Guzar jayenge...💔
Sad broken heart's Thoughts



SAD BROKEN HEART HINDI QUOTES 



Dil ab bhi na bhara to aaja 
Dekh main tere Shaher me aayi hun

Tu bass Namak lekar aana zakhm 
Main apne sath laayi hun 


Broken heart sad quotes


BROKEN HEART SAD QUOTES 


NEVER Show your Weakness to 
The world 
Because world is much interested 
To play with it 


Hindi broken heart quotes

HINDI BROKEN HEART SAD QUOTES 



Dard ki Bhi apni ek Ada hai 

Wo dard Sahne walo par hi 
Fida hai ...💔

Broken heart alone shayri



BROKEN HEART ALONE SHAYRI 



Kabhi lafzon me Talash Na 
Karna wajood Hamara

Hum utna likh nahi pate jitna 
Mahsoos karte hai ✍


ALOS READ THIS ARTICLES 

Happy Valentine Day quotes
Propose day Quotes
Quotes of the day
INSPIRATIONAL QUOTES
Good morning quotes
Hindi love shayri