RAHAT INDORI BEST SHAYARIES
INTRODUCTION
Rahat Indori ka Janam Indaur me 1 January 1950 ko Hua tha Rahat Indori India ka Famous shayar the unhe Shayari ke Zamane ka Ubharta (Rising) Star mana jata Tha .
Rahat Indori ne apna career indra kumaar college indaur mein urdu saahity ke techar ke taur par shuroo kiya. Students ke beech vo jaldee hee lokapriy ho gaye. phir Rahat mushaayaron mein busy hote chale gaye parivaar kee aarthik sthiti bahut achchhee nahin thee aur raahat jee ko shuruaati dinon mein kafi mushkilon ka saamana karana pada tha.
haal ke barason mein poore bharat aur videshon se Rahat Indori ko mushaayaron ke nimantran milate the. Rahat Indori me gajab ke Shayari shamata aur maulikata thee. shabdon ke bazigari bhi vo khoob jaanate the. isee se vo hit hote chale gaye. logon ke bich dilon mein jagah banane lage. unakee kavita khushabo khaasi hit rahi jisane unhen ek tarah se urdoo saahity ke duniya mein ek prasiddh shayar bana diya.
jaane-maane urdu shayar rahat indori ka 10 August 2020 ko corona positive hone ke kaaran indaur mein hospital mein bharti karaaya gaya tha. 24 ghante ke andar heart attack ke kaaran unaka nidhan ho gaya.
chaliye Kch Un ke best Hindi Shayari Aap ko Dekhate Hai
Sabhi Ka Khoon Hai Shamil
yaha ki mitti me
kisi ke baap Ka Hindustan
Thodi hai
Best Attitude Shayari Of Rahat Indori
ROZ TAARON KI NUMAAISH ME
KHALAL PADTA HAI
CHAND PAGAL HAI ANDHERE ME
NIKAL PADTA HAI
BEAUTIFUL ATTITUDE HINDI SHAYARI
BY RAHAT INDORI
MAINE MULKON KI TRAH
LOGON KA DIL JEETA HAI
YE HUKUMAT KISI TALWAAR KI
MOHTAAJ NAHI ...
LOG HONTO PE SAJAYE FIRTE HAI
MUJHE
MERI SHOHRAT KISI AKHBAAR KI
MOHTAAJ NAHI
HINDI SHAYRI OF RAHAT INDORI
PEHAN KE AATE HAIN.
KULAH TAUK SE PEHAN
KE AATE HAIN
SHAHER TERE TRAH KEEMTI
POSHAK
MERE GALI ME BHIKARI PEHAN
KE AATE HAIN
YE AFIQUE THE SHAHER KE
TAJ KI ZEENAT
JO UNGLIYO ME MADARI PEHAN
KE AATE HAIN
IBADATON KI ZIMMEDARI BHI
UN KI TRAF HAI
JO MASJIDON ME SAFARI
PEHAN KE AATE HAIN
HAMARE JISM KE DAAG PE
TABSIRA KARNE
KAMIZ LOG HAMARI PEHAN
KE AATE HAIN
RAHAT INDORI KI SHAYARI ON MOTIVATION HINDI SHAYARI
JHOTI BULANDIYON KA DHUWAN
PAAR KAR KE AA
KAD NAPNA HAI MERA TO
CHAT SE UTAR KE AA
SONE KA RATH FAQEER KE
DAR TAK NA AAYEGA
KUCH MANGNA HAI HUMSE
TO PAIDAL UTAR KE AA
RAHAT INDORI DEEP HINDI SHAYARI
MANZAR KHULA
KOI DARWAZA MERE
UNDAR KHULA
EK GAZAL KAMRE KI
CHAT PE MUNTAZIR
EK KALAM RAKHA HAI
KAGAZ PE KHULA
CHALTE RAHNE KA
IRADA SHART HAI
JAB BHI DEEWARIN UTHI
HAI CHAT KHULA
SATH RAHTA HAI YAHI
AHSAASE JURM
KIS KE ZIMME CHOR AAYE
HAI GHAR KHULA
MAIN APNE AAP ME HI
BAND THA
MUDDATON KE BAAD YE
MUJH PE KHULA
TWO LINE BEAUTIFUL STATUS HINDI SHAYARI OF
RAHAT INDORI
1
Naye kirdar aate jaa rahe hain,
Magar naatak purana chal raha hai.
2
Ham se pehle bhi musafir kai guzare honge,
Kam se kam raah ke patthar to hata te jaate
3
Na ta-aaruff na talluk hai magar dil aksar,
Naam sunta hai tumhara to ucchal padta hai
4
Shahar kya dekhe ki har manzar me jaale pad gaye,
Aise garmi hai ki pile ful kaale pad gaye.
5
Ankhon mein paani rakho, hothon pe chingaari rakho,
Jinda rahna hai to tarkibe bahut saari rakho
6
Raah ke patthar se badh ke kuch nahi hain manzilen,
Raaste aawaz dete hain safar jaari rakho
7
Kabhi mahak ki tarah hum gulon se udate hain,
kabhi dhuyen ki tarah parvaton se udate hain.
8
Maine shaahon ki mohabbat ka bharm tod diya,
Mere kamre mein bhi ek Tajmahal rakha hain.
9
Sheharon mein to baarudon ka mausam hain,
Gaaon chalo amrudon ka mausam hain
10
Aap ki nazaron mein sooraj ki hai jitni ajmat,
Hum charaagon ka bhi utna hi adab karte hain.
11
Main noor ban ke zamane mein fel jaunga,
Tum aaftaab mein kide nikalte rahna.
12
Suraj, sitaare, chaand mere saath mein rahe,
Jab tak tumhare haath mere haath mein rahe.
FAMOUS HINDI SHAYRI STATUS OF RAHAT INDORI
aañkh meñ paanī rakho hoñToñ pe chiñgārī rakho
zinda rahnā hai to tarkībeñ bahut saarī rakho
raah ke patthar se baḌh kar kuchh nahīñ haiñ manzileñ
rāste āvāz dete haiñ safar jaarī rakho
ek hī naddī ke haiñ ye do kināre dosto
dostāna zindagī se maut se yaarī rakho
aate jaate pal ye kahte haiñ hamāre kaan meñ
kuuch kā ailān hone ko hai tayyārī rakho
ye zarūrī hai ki āñkhoñ kā bharam qaa.em rahe
niind rakho yā na rakho ḳhvāb meyārī rakho
ye havā.eñ uḌ na jaa.eñ le ke kāġhaz kā badan
dosto mujh par koī patthar zarā bhārī rakho
le to aa.e shā.irī bāzār meñ 'rāhat' miyāñ
kyā zarūrī hai ki lahje ko bhī bāzārī rakho
roz tāroñ ko numā.ish meñ ḳhalal paḌtā hai
chāñd pāgal hai añdhere meñ nikal paḌtā hai
RAHAT INDORI
roz tāroñ ko numā.ish meñ ḳhalal paḌtā hai
chāñd pāgal hai añdhere meñ nikal paḌtā hai
ek dīvāna musāfir hai mirī āñkhoñ meñ
vaqt-be-vaqt Thahar jaatā hai chal paḌtā hai
apnī ta.abīr ke chakkar meñ mirā jāgtā ḳhvāb
roz sūraj kī tarah ghar se nikal paḌtā hai
roz patthar kī himāyat meñ ġhazal likhte haiñ
roz shīshoñ se koī kaam nikal paḌtā hai
us kī yaad aa.ī hai sāñso zarā āhista chalo
dhaḌkanoñ se bhī ibādat meñ ḳhalal paḌtā hai
RAHAT INDORI
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें
Have any queries let me know