New Hindi Shayari

शनिवार, 6 मार्च 2021

LATEST LOVE SHAYARI IN HINDI 2021 ,TRUE LOVE SHAYARI,LOVE STATUS 2021

 LATEST LOVE SHAYARI IN HINDI 2021 ,TRUE LOVE SHAYARI,LOVE STATUS 2021

Love shayari

HELLO TODAY I COME WITH A VERY BEAUTIFUL COLLECTION OF LOVE SHAYARI IN HINDI  I COLLECT LATEST COLLECTION OR SHAYARI BASED ON LOVE SHAYARI. I HOPE U ENJOY AFTER READING THIS SHAYARIES .



LOVE SHAYARI IN HINDI 

Khade-Khade Sahil Par Hamne Shaam Kar Di,
Apna Dil Aur Duniya Aap Ke Naam Kar Di,
Ye Bhi Na Socha Kaise Guzaregi Zindagi,
Bina Soche-Samjhe Har Khushi Aapke Naam Kar Di.

Love shayari



TRUE LOVE SHAYARI IN HINDI 

Maine Har Ek Saans Apni Tumhare Naam Kar Di,
Logo Mein Ye Zindagi Badnaam Kar Di,
Ab Ye Aaina Bhi Kis Kaam Ka Mere,
Maine To Apni Parchhai Bhi Tumhare Naam Kar Di

LOVE SHAYARI IN HINDI 

Hontho Par Dekho Phir Aaj Mera Naam Aaya Hai,
Lekar Naam Mera Dekho Mahaboob Kitna Sharmaya Hai,
Poochhe Unse Meri Aankhen Kitna Ishq Hai Mujhse,
Palke Jhukake Vo BoleKi Meri Har Saans Me Bas Tu Hi Samaya Hai

LOVE SHAYARI 

Tere Khayal Se Khud Ko Chhupa Ke Dekha Hai,
Dil-o-Najar Ko Rula-Rula Ke Dekha Hai,
Tu Nahi To Kuchh Bhi Nahi Hai Teri Kasam,
Maine Kuchh Pal Tujhe Bhula Ke Dekha Hai

LOVE SHAYARI

Hum Aapki Har Cheez Se Pyar Kar Lenge,
Aapki Har Baat Par Aitbaar Kar Lenge,
Bas Ek Bar Keh Do Ki Tum Sirf Mere Ho,
Hum Zindagi Bhar AapKa Intezaar Kar Lenge

LOVE SHAYARI



LOVE SHAYARI

Agar Ishq Karo To Aadaab-e-Wafa Bhi Seekho,
Yeh Chand Din Ki Bekaraari Mohabbat Nahin Hoti.

LOVE SHAYARI

Nahi Jo Dil Mein Jagah To Najar Mein Rehne Do,
Meri Hayaat Ko Tum Apne Asar Mein Rehne Do,
Main Apni Soch Ko Teri Gali Mein Chhod Aaya Hun,
Mere Wajood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do

love shayari



LOVE SHAYARI

Tere Khayal Mein Jab BeKhayal Hota Hoon,
Jara Si Der Ko Hi Sahi BeMisaal Hota Hoon.

LOVE SHAYARI

Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai,
Humein To Jisne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai,
Mohabbat Mein Jo Dooba Ho Use Sahil Se Kya Lena,
Kise Iss Behar Mein Jakar Kinara Yaad Rehta Hai.

love shayari 2021



LOVE SHAYARI
Mere Hath me apka haath ho
Jindagi bhar aapaka saath ho.
umaar to yoohee gujar jaayegee.
bas aapaka pyaar mein kuchh baat ho

LOVE SHAYARI

Aadat hamari kuch ashi hai.
Tuje kuch kah nahi paunga.
Par tu mujse dur jane ki baatein mat kar.
Tere bina kaise reh paunga.

LOVE SHAYARI

jindai me kabhi udas mat hona
koi apse pyaar nahi karta
ye bol ke kabhi mat rona
Ap jis se bahut pyaar karte ho
uske liye jina aur khus rahena

LOVE SHAYARI

Apne Pyaar ko na mein kabhi badnam karunga
Ap muje chhod ke bhi chali jaye
Tabhi apko apni jaan kahoonga

LOVE SHAYARI

Kahne ko bahut kuch baki hai.
tere saath jindagee jeena baaki hai.
Khud ko kho ke paya hai tuje.
yahi baat tuje samajana baaki hai.

LOVE SHAYARI

khud ko khud se juda kar diya aanjane ke lie duniya chhod aaj tum poochh rahe ho kya kiya mere lie dekh aaj tere lie duniya chhod diya

love shayari


LOVE SHAYARI
Is Deewangi ka mere mujhko naam nahi mil raha,

bechain dil ko mere ek pal bhi aaram nahi mil raha,

kaise samjhon kaise bayan karun me apni halat ko,

bas itna samajh lo mujhe bina tere pura saans nahi mil raha.

LOVE SHAYARI

Jis pal teri zahan mein utar gaya main, tere is mohabbat mein sanwar gaya main, lagakar gale se tujhko khwabon mein hi sahi, sar se paanv tak sanam tar gaya main


love shayari


LOVE SHAYARI

na me tumhe khona chahta hu,

na tumhari yaad me rona chahta hu

jb tak jindagi hai. me tumhare sath rhunga,

bas yhi bat tumhe kahna chahta hu,

me tumse pyar krta hu

love shayari


LOVE SHAYARI

Esa kya bolu ki tere dil ko chu jay

ese kisse dua maangoo ki tu meri ho jay

tujhe pana nhi tera ho jana hai mannat meri,

esa kya kardu ki ye mannat puri ho jay

LOVE SHAYARI

tera naam lu juba se tere aage ye sir jhuka du,

mera ishq kah rha hai, me tujhe khuda bna du


love shayari

LOVE SHAYARI

mulakaat nhi hoti to 
kya hua 
pyar to fir bhi beshumaar 
karte hai tumse  

love shayari

LOVE STATUS 

babu bahut yaad aarhi hai aap ki 
dil karta hai jahan tum ho..
wahin aake tumhe gale 
lagalon...


i really miss you 

love shayari




Love status 

pata Nahi kitna 
pyar hogya hai tumse 
Naraz hone par bhi 
bahut yaad aati hai 
tumhari.. ..


LOVE YOU

love shayari


LOVE STATUS 

koi chand sitara hai
koi phool se pyara hai 
Jo door rah kar bhi Hamara hai
wo Naam buss tumhara hai
love shayari


love shayari

bahut honge is duniya me 
tumhe chahane wale 
lekin is pagal ki to 
duniya hi tum ho  

LOVE SHAYARI 2021 DOWNLOAD

love shayari

Rab kare ki hamara pyar 
itna sucha ho ki 
tu Rahe kisi ke Sath bhi 
Par tujhe yaad meri hi  
aaye 


LOVE SHAYARI 2021 DOWNLOAD

love shayari

Zaroori Nahi ki Insaan Sundar Aur 
behad khubsurat ho,
Acha To Wahi insaan hai Jo aap ke Sath tab ho 
aap ko us ki zaroorat ho .

LOVE SHAYARI 2021 DOWNLOAD

Love Shayri


main Dil honn 
Aur tum meri Saane ho
Main jism honn
Aur Tum meri Jaan ho  

I love you 

love shayari

LOVE SHAYARI 2021 DOWNLOAD

Muhabbat Ki tadap Wahi 
Jaan sakta hai Jisne 
Succha Pyar kiya ho 
kyonki....
Suchiii Muhabbat me kuch 
mile na mile dard Aur Anso 
zaroor milte hai 


LOVE SMS 

KAISE Lafzo me bayan 
karon tumhari khubsurati 
ko....

Nor ka jharna Bhi Tum ho 
Aur isqk ka Dariyaa bhi 
tum...

LOVE SMS 

umar mt pocho unse 
jo isqk me khoye rahte hai 

hamesha jawaan rahte hai wo 
jo mahboob ki ankhon me 
khoye rahte hai


LOVE SMS 

Dil me jo kuch 
hota hai..
wo kaha nahi jata 
dard-e-judai ab 
saha nahi jata 
ab aajao laut kr 
jaan ....
ab tumhare bina 
raha nahi jata

गुरुवार, 7 जनवरी 2021

SAD SHAYARI

 SAD SHAYARI WITH IMAGES FOR LOVER BF GF 


Sad hindi Shayari

HELLO GAYS TODAY WE COME WITH NEW SHAYARI SAD HINDI SHAYARI Hum sab Apne life me Kabhi kabhi lekin Zaroor is dour se guzarte hai ke Jab aap sad hote ho preshan hote ho Or jis ki wajah se pareshan hote hai Use direct to kuch kah nahi sakte lekin SAD HINDI SHAYARI aap ka dard us tak pohcha skti hai Aaj hum aap ke liye Aisi hi Aap ke mann pasand Sad shayari leke aaye hai Jis ko Suna ke aap apne Dost gf ya wife ko apne dard ko bata skte ho 
to dair kis baat ki chalo shoro karte hai .


SAD SHAYARI 💔
ro ge bohut hum se bichad ke maan lo

ye chahat ke sajhde mein kaza soch kar karna
     💔💔💔


Sad Shayari In Hindi With Images

ho jaye guftago agar teri nigaho se wasi
teri saadgi ki kasam hum jaban se kalaam karna chod dengge

Sad Shayari

taras aata hai mujhe masoon si palkho par
jab bheeg kar kahti hai ke ab aur roya nahi jata

aye hawa unse kahde kabhar meri maut ki
aur son kahena ki kafan ki khuwaish mein meri laash
unke aanchal ka intezaar kar rahi hai

किसको निभा ना सकू मैं ऐसा वादा नहीं करता
में बातें अपनी औकात से जायदा नहीं करता

mujhe hukm huwa kuch uar maang us ke siwa
mein dust duaa se uth gaya ke mujhe jastazo sirf uski thi

SAD SHAYRI 

Yeh Tuɱ Se keh Diya kis Ne,
ke Baazi Haar Baithay Huɱ!
Abhi Tuɱ Pay Lutanay ko
Humari Jaan Baqi Hai.

SAD SHAYARI
Usse yeh weham hai ke ɱai usse chor na paaungi 
Huɱe ye khauf hai ke r๏yega azɱa ke mujhe !! 

Jise Tum Sacche Dil Se Pyar Karo Use
Kabhi Mat Aazmana…!

Kyo Ki
Agar Woh Gunehgar Bhi Hua
Toh Dil Tumhara Hi Tutega…!



Sad Shayari Whatsapp Status

Chale Jayenge..
Ek Din Tujhe Tere Haal Par Chodkar Kadar,

Kya Hoti Hai Pyar Ye,
Tujhe Wakt Hi Sikha Dega.


SAD SHAYARI
Hum Itne Bure Toh Nahi The Eh Dost,
Jitna Apno Ne Hamein Kah Kar Bana Diya,

Ham Kahan Jaante The Ke Gham Kya Hota Hai,
Magar Apno Ne Hi Mujhe Ismein Duba Diya

SAD SHAYARI

Khush Naseeb Hote Hain Badal,
Jo Dur Rehkar Bhi Zameen Par Baraste Hain,

Aur Ek Badnaseeb Hum Hain,
Jo Ek Hi Duniya Mei Rehkar Bhi..
Milne Ko Taraste Hain.

SAD SHAYARI
Jaane Kya Mujhse Zamana Chahta Hai,
Mera Dil Todkar Mujhe Hi Hansana Chahta Hai,

Jaane Kya Baat Jhalakti Hai Mere Chehre Se,
Har Shakhs Mujhe Azmana Chahta Hai.

SAD SHAYARI

Jb Mujhse Mohabbat Hi Nahi To Rokte Kyu Ho..?
Tanhayi Me Mere Baare Me Sochte Kyu Ho.?

Jab Manzile Hi Juda Hai Toh Jaane Do Mujhe,
Lot Ke Kab Aaoge Yeh Puchte Kyun Ho….?

Zakhm Laga Kar Mere Dil Pe Badi Sadgi Se,
Mere Zakhmi Dil Ka Haal Puchte Kyun Ho..?

Thukra Kar Meri Mohabbat Ko Es Tarah,
Palat Palat Kar Pyaar Se Dekhte Kyun Ho…?


SAD SHAYARI
Bichad Ke Tum Se Zindagi Saza Lagti Hai,
Yeh Saans Bhi Jaise Mujh Se Khafa Lagti Hai,

Tadap Uthte Hain Dard Ke Maare,
Zakhmon Ko Jab Tere Sheher Ki Hawa Lagti Hai,

Agar Umeed E Wafa Karun To Kis Se Karun,
Mujh Kotoh Meri Zindagi Bhi Bewafa Lagti Hai.

SAD SHAYARI
Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tham Le,
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,

Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le.

SAD SHAYARI

Yu Na Barbad Kar Mujhe,
Baaz Aaja Mera Dil Dukhane Se,

Main Toh Insan Hu
Patthar Bhi Tut Jata Hai Itna Azmane Se .

SAD SHAYARI

Aap Toh Ban Na Sake Hamare Magar,
Hum Bhi Kisi Aur Ke Ho Na Sake,

Khusiyan Toh Kya Milti Mujhko,
Ek Pal Bhi Kabhi Chain Se So Na Sake.

Woo Ye Kahkar Chale Ki Mulakat Bahut Hai,
Hamne Kha Rukkar Jaoo Aabhi Raat Bahut Hai,

Jra In Aansuoo Ko Tham Jane Do,
Baher Barsat Bahut Hai

SAD SHAYARI

Har Pal Kam Ho Rahi Hai Zindagi Apni,
Har Lamha Us Se Door Ja Raha Hu Main,

Samajh Paya Nahi Moula Yeh Duniya Teri,
Is Liye Jaldi Tere Paas Aa Raha Hun Main.

SAD SHAYARI

Mit Gaye Hain Sab Zakham,
Bas Nishaan Baaki Reh Gaya,

Saza Puri Ho Gayi,
Karna Gunaah Baaki Reh Gaya.

SAD SHAYARI

Main Kisi Aur Se Kya Mangu Mere Mola,
Jab Tu Hi Kuchh Dene Ko Taiyar Nahi Hai,

Sab Ko Hi Bantata Hai Khusiyan Sada,
Kyu Mujh Se Fir Tujhe Kyu Pyar Nahi.

SAD SHAYARI

Tumko Dekha Ek Nazar Hamne Hosh Pa Liya,
Apni Palkon Me Tera Aagosh Pa Liya,

Ham Dard Ko Pite Hain Tera Dard Samajh Kar,
Aankhon Ne Chhalakne Ka Josh Pa Liya.
 
SAD SHAYARI

Husn Waale Toh Hote Hain Sangdil Hamesha,
Inki Adalat Mein Na Sunwayi Hoti Hai,

Aap Apna Na Banana Kabhi Inko Dosto,
Kyunki Dil Tuta Toh Jag Hansayi Hoti Hai.

SAD SHAYARI

Mohabbat Mangi Thi Mohabbat Ke Badle,
Tum Woh Bhi Humko De Na Sake,

Dil Ko Chaha Jab Kahin Aur Bahlana,
Is Baat Ko Bhi Tum Sah Na Sake ,

SAD SHAYARI

Hum Kisi Ko Apna Banayein Yahan,
Shyad Yeh Kismat Ko Manjoor Nahi Tha,

Aapka Is Kadar Ruthna Humse,
Shayad Yeh Mohabbat Ka Dastoor Nahi Thaa

SAD SHAYARI

Wafa Ki Zanjeer Se Dar Lagata Hai,
Kuchh Apni Taqadeer Se Dar Lagata Hai.

Jo Mujhe Tujhase Juda Karti Hai,
Haath Ki Us Lakeer Se Dar Lagata Hai!

SAD SHAYARI

Jis Chehre Ko Dekh Kar Haste The Hum,
Aaj Usine ‘Rula Diya’ Khud Ne To Phone Kiya Nahi,

Humne Kiya To Caller Tune…
‘Tuje Bhula Diya’

Sad shayari hindi

TWO LINE SAD SHAYARI

bahut se logo ko choti 2 line ki shayari bahut pasand hoti hai kyon ke chote se lafzo me badi baat mahboob tak pohacha deti hai to hum aap ke liye leke aaye hai
two line sad shayari padhiye aur enjoy kre 



TWO LINE SAD SHAYARI


Galat Suna Tha Ki Ishq Ankhon Se Hota Hai
Dil Toh Vo Bhi Le Jate Hai Jo Palke Tak Nahi Uthate

Two Line Shayari In Hindi

Na Kar Dil Azaari Na Ruswa Kar Mujhe
Jurm Bata,Saza Suna,ya phir Khatam Kar Mujhe

Chhod diya uska intezaar karna hamesha ke liye
Jise ek nigah ki kadar na ho use mud mud kar kya dekhna

TWO LINE SAD SHAYARI IN HINDI


Meri Tanhaiyan Karti Hai Jinhe Yaad Sadaa
Unko Bhi Meri Jarurat Ho Jaroori Toh Nahi..

2 Line Hindi Shayari With image

Nahi maloom sab mujhko akela kyu samajhte hain
Main tanha jab bhi dikhta hu,tumhare sath hota hu

2 LINE SAD SHAYARI IN HINDI

Ab Kaha Jarurat Hai Hantho Me Patthar Uthane Ki,
Todane Wale To Jubaan Se Hi Dil Tod Dete Hai . 

TWO LINE SAD SHAYARI IN HINDI

Wafaadaar Aur Tum?
Khyaal Achchha Hai,
Bewafa Ham?
Ilzaam Achchha Hai.

TWO LINE SAD SHAYARI IN HINDI

Me Wafaaon Ko Thukara Dene Wale,
Kash Tujhe Bhi Kisi Bewafa Se Pyaar Ho Jaaye?

TWO LINE SAD SHAYARI IN HINDI 


Nigaahon Se Bhi Chot Lagati Hai Janaab,
Jab Koi Dekhakar Bhi Andekha Kar Deta Hai.

TWO LINE SAD SHAYARI IN HINDI 


Kaise Karu Bharosha Gairo Ke Pyaar Par,
Apane Hi Maza Lete Hai Apano Ki Haar Pe.

2 LINE SAD SHAYARI

Khud Ko Mere Dil Me Chhpd Gaye Ho,
Tumhe To Thik Se Bichhadana Bhi Nahi Aata Aata.

2 LINE SAD SHAYARI
Jara Sa Bhi Nahi Pighalata Dil Tera,
Itana Kimati Patthar Kanha Se Kharida Hai?

TWO LINE SAD SHAYARI IN HINDI

Raat Bhar Jalata Raha Ye Dil Usaki Yaad Men,
Samjh Me Nahi Aata Dard Pyaar Karane Se Hota Hai Ya Yaad Karane Se? 

SAD SHAYARI

Guzare Hai Aaj Ishk Ke Us Mukaam Se,
Nafarat Si Ho Gayi Hai Mohabbat Ke Naam Se.


Sad shayari


BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Kaash Koyi Hum Par Bhi Itna Pyaar Jatati.
Piche Se Aakar Wo Hamari Ankho Ko Chupaati,
Hum Puchhte Ki Kaun Ho Tum…?
Aur Wo Has Kar Khudko Hamari Jaan Batati..!!

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Lage Hain Ilzaam Dil Pe Jo Mujhko Rulate Hain,
Kisi Ki Berukhi Aur Kisi Aur Ko Satate Hain,
Dil Tod Ke Mera Wo Badi Asani Se Keh Gaye Alvida,
Lekin Halaat Mujhe Bewafa Thehraate Hai.

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Jakhm Itna Gehra Hai Izhaar Kya Kare.
Ham Khud Nishan Ban Gaye Auro Ka Kya Kare.
Mar Gaye Ham Magar Khuli Rahi Aankhein.
Kyuki Hamari Aankhon Ko Unka Intezar Hai.

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Kitna Ajeeb Apni Zindgi Ka Safar Nikla,
Saare Jahan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla,
Jiske Naam Apni Zindgi Ka Har Lamha Kar Diya,
Afsos Wahi Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla.


sad shayari

 

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Usko Kya Saza Doon,
Jisne Mohabbat Mein Hamaara Dil Tod Diya,
Gunaah To Hamne Kiya,
Jo Uski Baato Ko Mohabbat Ka Rang De Diya.

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Chalo Maan Liya,
Mujhe Mohabbat Karni Nahi Aati,
Lekin Zara Ye To Batao,
Tumhe Dil Todna Kisne Sikhaya?

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Kuchh Mohabbat Ka Nasha Tha Pehle Humko,
Dil Jo Toota Toh Nashe Se Mohabbat Ho Gayi.

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Mere Gunaah Saabit Karne Ki Jahmat Na Uthha,
Bas Khabar Kar De Kya-Kya Qabool Karna Hai.

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Badal Gaye Sab Log Aahista-Aahista,
Ab Toh Apna Bhi Haq Banta Hai.

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi,
Hamare Jaisi Tumko Kahin Chahat Bhi Na Milegi,
Yun Itni Berukhi Na Dikhlaiye Humein,
Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat Bhi Na Milegi.

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Kabhi Adhoora Sa Kuch kahoon to Tum Poora Samajh Jaana , Ham to Ulajhe Hain Tujhamen too Hamamen na Kaheen Ulajh Jaana

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Dil Ane Ke Baat Hai Yaaron Apne Bas Ke Baat Kahi, Pyaar Agar Ho Patthar Se  Phir Hire Ke Aukaat Kahi

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Gujare Hai Ashikee Mein ham kuch aise Mukaam se,ke Napharat see ho Gayee hai ab Pyaar  ke Naam se

BROKEN HEART HINDI SHAYRI

Bhar Jayenge Jakhm BhI too Jamaane se Jikr na Karana, theek hoon main Too mere Dard kee phikr na Karana

SAD SHAYARI

 SAD SHAYARI URDU

SAD SHAYARI URDU

Kaise Kah Doon K Mujhe Chor Diya Hai Us Ne
Baat To Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki

کیسے کہہ دوں کہ مجھے چھوڑ دیا ہے اس نے

بات تو سچ ہے مگر بات ہے رسوائی کی

SAD SHAYARI URDU

Itne Ghane Badal Ke Piche
Kitna Tanha Hoga Chnad

اتنے گھنے بادل کے پیچھے

کتنا تنہا ہوگا چاند

SAD SHAYARI URDU

Main Sach Kahungi Magar Phir Bhi Haar Jaungi
Wo Jhoot Bolega Aur La-Jawab Kar Dega

میں سچ کہوں گی مگر پھر بھی ہار جاؤں گی 

وہ جھوٹ بولے گا اور لا جواب کر دے گا


sad shayari

 

SAD SHAYARI URDU

Dasht-e-Hasti Mai Shab-e-Gham Ki Sahar Karne Ko
Hijr Walon Ne Liya Rakht-e-Safar Sannata

دشت ہستی میں شب غم کی سحر کرنے کو

ہجر والوں نے لیا رخت سفر سناٹا

SAD SHAYARI URDU

Mera Karnama-e-Zindagi Meri Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi,

Yeh Kia Nahi, Wo Hua Nahi, Yeh Mila Nahi, Woh Raha Nahi

میرا کارنامہ زندگی میری حسرتوں کے سِوا کچھ نہیں
یہ کیا نہیں، وہ ہوا نہیں، یہ ملا نہیں، وہ رہا نہیں

SAD SHAYARI URDU

Mera Karnama-e-Zindagi Meri Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi,

Yeh Kia Nahi, Wo Hua Nahi, Yeh Mila Nahi, Woh Raha Nahi

میرا کارنامہ زندگی میری حسرتوں کے سِوا کچھ نہیں
یہ کیا نہیں، وہ ہوا نہیں، یہ ملا نہیں، وہ رہا نہیں

SAD SHAYARI URDU

Gham e Duniya Bhi Gham e Yaar Mein Shamil Karlo,

Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein

غم دنیا بھی غم یار میں شامل کر لو
نشہ بڑھتا ہے شرابیں جو شرابوں میں ملیں

ग़म-ए-दुनिया भी ग़म-ए-यार में शामिल कर लो

नश्शा बढ़ता है शराबें जो शराबों में मिलें

SAD SHAYARI URDU

Dekh kar dil-kashi zamane ki
Aarzu hai fareb khane ki

Ae gham-e-zindagi na ho naraaz
Mujh ko aadat hai muskurane ki

Zulmaton se na Dar ki raste mein
Roshni hai sharab-KHane ki

Aa tere gesuon ko pyar karun
Raat hai mishalen jalane ki

Kis ne saghar ‘adam’ buland kiya
Tham gain gardishen zamane ki

دیکھ کر دلکشی زمانے کی
آرزو ہے فریب کھانے کی

اے غم زندگی نہ ہو ناراض
مجھ کو عادت ہے مسکرانے کی

ظلمتوں سے نہ ڈر کہ رستے میں
روشنی ہے شراب خانے کی

آ ترے گیسوؤں کو پیار کروں
رات ہے مشعلیں جلانے کی

کس نے ساغر عدمؔ بلند کیا
تھم گئیں گردشیں زمانے کی

देख कर दिल-कशी ज़माने की
आरज़ू है फ़रेब खाने की

ऐ ग़म-ए-ज़िंदगी न हो नाराज़
मुझ को आदत है मुस्कुराने की

ज़ुल्मतों से न डर कि रस्ते में
रौशनी है शराब-ख़ाने की

आ तिरे गेसुओं को प्यार करूँ
रात है मिशअलें जलाने की

किस ने साग़र ‘अदम’ बुलंद किया
थम गईं गर्दिशें ज़माने की

SAD SHAYARI



VERY SAD SHAYARI 


VERY SAD SHAYARI IN HINDI

Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar De Do
Aakhir Me Use Thoda Kam Hi Lagta Hai

VERY SAD SHAYARI 

Mujhe Bi Yaad Rakhna Jab Likho Tarikh Wafa Ki
Maine Bhi Lutaya Hai Mohabbat Main Sakoon Apna

VERY SAD SHAYARI

Haan Yaad Aaya Iske Aakhri Alfaz Ye The
Agar Ji Sako To Ji Lena Agar Mar Jao To Accha Hai

VERY SAD SHAYARI

Khamoshiyan Kar Dete Hai Bayan To Alag Baat Hai
Kuch Dard Hai Ji Lafzo Me Utare Nhi Jate


VERY SAD SHAYARI

Duba Hai Mera Badan Mere Hi Khoon Se
Ye Kanch Ke Tukdo Pe Bharose Ki Saza Hai

VERY SAD SHAYARI

Suni Thi Humne Gajlo Me Judai Ki Baatein
Ab Khud Pe Beeti To Haqiqat Ka Andaza Hua

VERY SAD SHAYARI

Patthar Samajh Kar Paanv Se Thokar Laga Di,
Afsos Teri Aankhon Ne Parkha Nahi Mujhe,
Kya Umeed Bandh Kar Aaya Tha Samne,
Usne To Aankh Bhar Ke Dekha Nahin Mujhe…


sad shayari


VERY SAD SHAYARI

Nafratein Laakh Mili Par Mohabbat Na Milii,
Zindagi Beet Gayii Magar Rahat Na Milii,
Teri Mehfil Mein Har Ek Ko Hansta Dekha,
Ek Main Tha Jise Hasne Ki Ijazat Na Mili.


VERY SAD SHAYARI

Kitne Door Nikal Gaye Rishte Nibhate Nibhate
Khud Ko Kho Diya Humne Apno Ko Paate Paate
Log Kehte Hain Dard Hai Mere Dil Mein
Aur Hum Thak Gaye Muskurate Muskurate….


VERY SAD SHAYARI

Woh Mujhse Door Rehkar Khush Hai Toh Rehne Do Use,
Mujhe Chahat Se Zyada Uski Muskurahat Pasand Hai…


VERY SAD SHAYARI

Aadat Bana Li Maine Khud Ko Takleef Dene Ki,
Taaki Jab Koi Apna Takleef De To Jyada Takleef Na Ho…


VERY SAD SHAYARI 

Maut Ka Kya Kasoor Agar Zindagi Bewafa Nikle,
Kuch Pal Ruk Kar Phir Chal Nikle,
Unse Kya Kahein Wo To Sacche Hain,
Jab Meri Taqdeer He Mujhse Khafa Nikle

SAD SHAYARI

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND 

Acha hai Jo tu Meri takleef nahin samajti, Agar samajti toh tuhje bhi takleef hoti, Aur woh mujhe acha nahin lagta.

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND

Tere Jaane Ke Baad Kaun Rokta Humein Jee Bhar Kar Khud Ko BarBaad Kiya Humne.

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND 

Kafan ko utha kar deedar kar lo, Band ho gayi hai woh aankhein jinko tum rulaya karty thy.

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND

Kuch Log Do Pal Sath Chal kar Fir Umar Bhar Ki Tanhayi pata ni kyun De Jaate Hain...

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND

Barsoo Baad Mila To Poochny Lage K Tum Kon Ho Bichadte Waqt Jis Ne Kaha Tha K Tum Bohat Yaad Aao Gay.

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND

Na milta gam to barbadi ke afasane kaha jate
Duniya agar hoti chaman to wirane kaha jate
Chalo acha hua apno me koi gair to nikla,
Sabhi agar hote apne to begane kaha jaate…


SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND

Tarap k dekh kisi ki chahat main…
To pata chale k intazar kya hota ha…
Youn he mil jae agar koi bina tarpe….
To kase pata chale ke pyar kya hota hai.

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND

Mujhe uski is maasum ada par bahut pyar ata hai,
Naaraz mujhse hota hai,
Gussa sab ko dikhata hai….

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND

Tere laut aane ki fariyad karte hai hum,
Andhero mein tanhaiyo se teri baat karte hai hum,
Tum bhool gaya hume ye sahi
Par her ghadi her lamha tujh yad karte hai hum..

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND

Door jakar bhi hum door jaa na sakenge, Kitna royenge hum bata na sakenge, Gham iska nahi ki aap mil na sakoge, Dard is baat ka hoga ki hum aapko bhula na sakenge.


SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND 

Tere har Dukh ko Apna bana lu, Tere har Ghum ko Dil se laga lu, Mujhe karni nai ati Chori warna, Mai tera Aankho se har aansu Chura lu.

SAD SHAYARI FOR GIRLFRIEND

Kaun sa Jakhm Tha Jo Taaza Na Tha, Gum itne Bhi Honge andaza Na Tha, Unki Jheel si ankho Ka Kya Kasoor, Dubne Walo Ko Hi Gehrai Ka andaza Na Tha.


SAD SHAYARI


SOME MORE SHAYARI FOR YOU







CONCLUSION

please subscribe karde hamare blog ko agar aap ko hamari shayari pasand aayi ho to Aur kuch kahna ho to comment section aap hi ke liye hai 


सोमवार, 28 दिसंबर 2020

Dosti Shayari 2021

Dosti Shayari In hindi With image 


Hello today hum Leke aaye hai aap sab ke liye Dosti shayari  Dosti status lagana or dost ko special feel karana har insaan ki Koshish hoti hai. Kyon ke Dosti Insaan ki sab se important Cheez hoti hai . Aur agar aap bhi Dosti Shayari dhond rhe ho to aap bilkul Sahi jagha pe aaye ho .

mai aap ka dost Hinsmeer aap ke liye leke aaya honn latest Dosti shayari with edit images . 


Dosti Shayari


 ❤❤DOSTI SHAYARI ❤❤

दोस्ती एक वो एहसास होता है,

जो अनजाने लोगो को भी पास लाता है,
जो हर पल साथ दे वही दोस्त कहलाता है ,
वरना तो अपना साया भी साथ छोड़ जाता है

DOSTI Ek Ahsaas hota hai
Jo Anjane logo ko bhi paas lata hai 
Jo har Pal sath de wo dost kahlata hai 
warna to apna saya bhi sath chor jata hai 


dosti shayari image

❤DOSTI SHAYARI ❤


Khamosi Mein Ek Ada Itni Pyari Lagi,

Aapki Dosti Hume Sabse Nyari Lagi,

Ye Na Kabhi Tute Yahi Dua Hai,

Kyonki Ye Dosti Hi Hume Humari Lagi


🌹🌹🌹 DOSTI SHAYARI🌹🌹🌹


Maza aata hai kisi ko satane me,

Ruthe na koi to maza kya manane me,

Ek dosto se hi to khushi hai,

Warna rakha kya hai es zindgi or zamane me



DOSTI SHAYARI


💋💋DOSTI SHAYARI💋💋

Tum Hason To Khushi Mujhe Hoti Hai

Tum Rodon To Aankhein Meri Roti Hain

Mehsoos Kar Ke Dekh Lo

Dosti Aise Hi Hoti Hai.



••• DOSTI SHAYARI •••


Phoolon Ki Mehak Ko Churaya Nahi Jaata

Sooraj Ki Kirno Ko Chupaya Nahi Jaata

Kitne Bhi Door Raho Ae Dost Tum

Dosti Mein Aap Jaise Dost Ko Bhulaya Nahi Jaata…!!!


☆☆DOSTI SHAYARI ☆☆


Ye Din Yoon Hi Guzar Jayenge,

Shyad Hum Dost Yuhi Bichad Jayenge,

Naraz Na Hona Aap Hamari Shararton Se,

Yahi To Wo Pal Hain Jo Baad Me Yaad Aayenge...!!!


dosti shayari




•••DOSTI SHAYARI •••



Besak Kuch Waqt Ka Intezaar Mila Humko,

Pr Khuda Se Badhkar Yaar Mila Humko,

Na Rahi Tammana Kisi Jannat Ki,

Ae Dost Teri Dosti Se Vo Pyar Mila Humko…!!!


❤DOSTI SHAYARI ❤

Kuch Rishtey Anjane Mein Ban Jaate Hain,

Pehle Dil Se Phir Zindagi Se Jud Jate Hain,

Kehte Hain Uss Daur Ko Dosti,

Jisme Anjaane Na Jaane Kab Apne Ban Jaate Hain..!!!


🌹DOSTI SHAYARI❤


Hui hai agar subah to raat bhi jarur hogi hi,

Mat hona tum udaas kabhi to baat bhi jarur hogi hi,

Itne dil se ki hai dosti humne agar,

Zindagi rahi to mulakaat bhi jarur hogi…!



😍DOSTI SHAYARI 😍
Har raat chand ka shingaar nahi milta

Har bagh ko phool ka dulaar nahi milta

Hamnein bhi duniya dekhi hai

Har insaan ko aap jaisa yaar nahi milta…!!!


💋Dosti Shayari 💋

Ek phool bhi aksar bagh saja deta hai

Ek hi sitara sansaar chamka deta hai

Jahan duniya bhar ke rishte bhi kaam nahi aate

Wahi ek dost zindagi bana deta hai…

😘DOSTI SHAYARI

Suna hai asar hota hai baton mein

Tum bhi bhul jaoge do chaar mulakaton mein

Hamse rooth kar jaoge kahan

Tumari to dosti ki lakir hai in hathon mein…!!!


😘DOSTI SHAYARI 😘

Hum apni dosti ko yaadon mein sajayenge

Dur rehkar bhi band aankhon mein nazar ayenge

Hum koi waqt nahi jo beet jaayenge

Jab yaad karoge tab chale aayenge…!!!

💋DOSTI SHAYARI 💋


Dost ne dosti ke liye dost ko bhula diya

Kya hua jo kisi aur ke liye aapne hame bhula diya

Hum to waise bhi akele the

Kya hua jo aapne hame ehsas dila diya…!!!

💋Dosti Shayari 💋
Har karz dosti ka ada koan karega

jab hum hi na rahenge toh dosti hi koan karega

Ae khuda mere dostoon ko salamat rakhna

warna mere jine ki dua koan karega


💋DOSTI SHAYARI 💋
Khuda ne agar ye silsila banaya na hota…

Ek dost ko doosaredost se milaya na hota…

kitni bejan ho jati ye zindgi….

Agar aap jaisa dost maine paya na hota…

💋Dosti status 💋

Kisi Mod Pe Hum Na Kahenge Apko C U,

Rahenge 7 Hamesha Me n U;

Kal Hum Na Rahe Is Duniya Me To Rakhke Phool Meri KabarPe Kahana,

“STUPID I MISS U….

💋Dosti Shayari💋

Ishq Or Dosti Merey 2 Jahan Hai,
Ishq Meri Ruh Toh Dosti Mera Imaan Hain,
Ishq Pr Toh Fida Kar Doon Apnee Saari Zindagi,
Lekin Dosti Par Toh Mera Ishq B Kurbaaan Hain!

💋DOSTI SHAYARI 💋💋


Agar Ham khud ko bhool jaye toh koi gam nahi,

Agar aapko bhool jaye toh woh Ham nahi,

Chaahte hai Ham dosto ko jaan se bhi zyada,

Unke liye apni jaan bhi chali jaye toh koi gham nahi!

😘DOSTI SHAYARI😘

Ek haseen pal ki zaroorat hai hume.
Beete hue kal ki zarurat h hume.
Sara jamana ruth gaya humse.
jo kabhi na ruthe aise dost ki zarurat hai hume.

💋 DOSTI SHAYARI 💋

Dilon ko khareedne wale hazaar mil jayenge,
tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge.
Milega na tumko hum jaisa koi,
milne ko to dost beshumar mil jayenge.


🌹 DOSTI SHAYARI 🌹

Kabhi kabhi meethi zuban bhi kadvi lagne lagti hai ,

us tym diwaro pe likhi baate sachhi lagne lagti hai,

har sad bollywood story apni lagne lagti hai…..

but ” when frends closer to my heart ”

then saari dunia achhi lagne lagti hain…

❤ DOSTI SHAYARI ❤

Kamyabi kabhi badi nahi hoti,
Pane wale hamesha bade hote hai.
Darar kabhi badi nahi hoti,
Bharne wale hamesha bade hote hai.
Itihaas ke har panne par likha hai,
Dosti kabhi badi nahi hoti,
Nibhane wale hamesha bade hote hai